Smartphone se remote check kre:-
bahut bar humare sath aisa hota hai ki TV, Music player, DVD ka remote kaam karna band kar deta hai to hume bahut problem hoti hai.
ye problem shayad aapko bhi aayi hogi. ayse time me hum remote ki battery, sell change karke remote ke sahi hone ka pata lagane ki koshish karte hai. or jab battery, sell change karne ke bad bhi remote kaam nahi karta to hume ye confusing rahti hai ki remote sahi hai ya kharab ho gaya hai.
magar aapka smart phone is is problem ko 1 second me solve kar sakta hai. yani ab aap apne adroid phone se remote ke sahi ya kharab hone ka pata laga sakte hai.
Remote Sahi Hai Ya Kharab Kaise Pata Kare?
smart phone se kisi bhi remote ka sahi ya kharab hone ka pata lagana bahut hi aasan hai. meri btayi ye trick follow kare.
Trick:- Apne smart phone ka camera on kare or remote ke senser ko camera ke samne kar ke remote ka koi bhi buttan dabaye. agar remote sahi hoga to remote ke senser ki light blink karti huyi nazar aayegi. agar senser light blink nahi hoti hai to aapka remote 100% kharab hai.
0 comments:
Post a Comment