Hello everyone...
Baris me mobile bingna aam bat h qki hm dhyan ni dete h or mobile pocket me hota to baris me bhing jata h, or bhinge huye chizo ko asani se sukhaya ja skta h lekin jb bat mobile ki ati h to kafi sochna pdta h..
Barish me y khi b pani se agr mobile bhing jaye to ky krna chahiye jisse mobile kharab n ho , to apne is article mai apko kuch ese hi tips btauga jise use krke ap apne mobile ko kharab hone se bacha skte h..
Ky kare agr mobile pani se bhing gya ho:-
1- agr mobile ka switch on ho to sbse phle switch off krde qki on krne se sort sarkit ho skta h or mobile me bdi kharabi aa skti h..
2- switch off krne k bad mobile ki bettry, sim , memory card sb nikal de or ise ache se kapde se saf kre..
3- agr mobile k upri bhag me gilapan najar aye to ise slowly slowly tissue paper se sukha le , yad rhe tissue paper ko jyada n ragde..
4- ek important bat ye h ki kbhi b bhinge mobile ko hair dryer y microwave oven se na sukhaye isse mobile jyada heat se kharab ho skta h..
5- mobile ko pankhe ki hwa me y khuli hwa me hi sukhaye..
6- mobile ko sukhane ka acha tarika h - chawal (rice). Ek katore me chawal le or usme mobile ko rkhe or mobile ko chawal se pura cover kr de, ab ise kuch der dhup me sukhaye isse apke mobile k andr ka pani sukh jayega or dhup se apka mobile b kharab ni hoga..
To ab apka mobile kbi b bhing jaye to ye asan si tips apnakr ap apne mobile ko kharab hone se bacha skte h...
Agr apko mera ye article acha lga ho to share jrur kijiye or meri b help kre...
Thnx for visit....
0 comments:
Post a Comment